Thursday, January 1, 2015

Tagged Under: , , , , , , , ,

BALAM PICHKARI LYRICS - Yeh Jawaani Hai Deewani Movie (2013)

By: virender singh On: 12:47 AM
  • Share The Gag
  • BALAM PICHKARI LYRICS - Yeh Jawaani Hai Deewani Movie (2013)


    Song Title: Balam Pichkari
    Film: Yeh Jawaani Hai Deewani (2013)
    Singers: Shalmali Kholgade, Vishal Dadlani
    Music: Pritam
    Lyricist: Amitabh Bhattacharya
    Cast: Ranbir Kapoor, Deepika Padukone, Kalki Koechlin, Aditya Roy Kapur
    Music on: T-Series



    Balam Pichkari Lyrics

    Balam pichkari jo tune mujhe maari
    Toh bole re zamana kharabi ho gayi
    Mere ang raja, jo tera rang laga
    Toh seedhi-saadi chhori sharabi ho gayi

    Itna maza, kyun aa raha hai
    Tune hawa mein bhaang milaya

    Itna maza, kyun aa raha hai
    Tune hawa mein bhaang milaya
    Dugna nasha, kyun ho raha hai
    Aankhon se meetha tune khilaya

    Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
    Manchali chaal kaise nawaabi ho gayi, toh?

    Balam pichkari jo tune mujhe maari
    Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
    Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
    Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

    Teri kalaai hai, haathon mein aayi hai
    Maine maroda toh lagti malaai hai

    Mehenga padega ye chaska malaai ka
    Upvaas karne mein teri bhalaai hai

    Ho bindiya teri mehtaabi ho gayi
    Dil ke armaanon mein behisaabi ho gayi

    Balam pichkari jo tune mujhe maari
    Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
    Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
    Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

    Kyun 'no-vacancy' ki, hothon pe gaali hai
    Jabki tere dil ka kamra toh khaali hai
    (kamra toh khaali hai...)

    Mujhko pata hai re
    Kya chahata hai tu
    Boli bhajan teri
    Neeyat Qawwali hai

    Zulmi ye haazir-jawaabi ho gayi
    Tu toh har taale ki aaj chaabi ho gayi, toh?

    Balam pichkari jo tune mujhe maari
    Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
    Haa, Jeans pahen ke jo tune maara thumka
    Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2)

    Haan, bole re zamana kharabi ho gayi
    Haan, bole re zamana kharabi ho gayi...

    0 comments:

    Post a Comment