Ae Mere Watan Ke Logon - Lata Mangeshkar
Singer: Lata Mangeshkar
Music: C. Ramchandra
Lyrics: Kavi Pradeep
Lyrics
Aye mere watan ke logon
Tum khoob laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka
Lehraa lo tirangaa pyara
Par mat bhoolo seemaa par
Veeron ne hai praan ganwaaye
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye
Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)
Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di
Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Thi khoon se lath pat kaaya
Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind
Music: C. Ramchandra
Lyrics: Kavi Pradeep
Lyrics
Aye mere watan ke logon
Tum khoob laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka
Lehraa lo tirangaa pyara
Par mat bhoolo seemaa par
Veeron ne hai praan ganwaaye
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye
Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)
Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di
Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Thi khoon se lath pat kaaya
Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind
0 comments:
Post a Comment